Monday, May 07, 2007

Kabhie Kabhie- The original poem

The popular song Kabhie Kabhie from the movie Kabhie Kabhie - Love Is Life is a simplified movie version of the great poem "Kabhie Kabhie" from Suhir Ludhianvi's one of the masterpiece Urdu poetry collection "Talkhiyan ('Bitterness')"

The poem is recited by the poet himself,



"Kabhie kabhie mere dil mein khayaal aataa hai

ke zindagi teri zulfon ke narm chaaon mein
guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi

ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

ajab na thaa ke main begaana-e-alam ho kar
tere jamaal ki rananaaiyon mein kho rahtaa
tera gudaaz badan teri neembaaz aankhein
inheen haseen fasaanon mein mahv ho rahtaa

pukaarti mujhe jab talkhiyaan zamaane ki
tere labon se halaavat ke ghoont pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur main
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tu nahin tera gham, teri justajoo bhi nahin
guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
ise kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa chukaa houn gale
guzar rahaa houn kuchh anjaani rah-guzaaron se
muheeb saaye meri samt barhte aate hain
hayaat-o-maut ke purhaul khaarzaaron se

na koi jaadaa, na manzil, na roshni ka suraag
bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri
inhi khalaaon mein rah jaaoungaa kabhi kho kar
main jaantaa hoon meri hamnafas magar yuun hi

kabhi kabhi mere dil mein khayaal aataa hai"

More poems can be found from the above weblog link.